रविवार, 12 जनवरी 2014

badalta paridrishya


Badlav ka mausam
Har taraf ek khushi ki lahar he,
Jabse neta bana he aam admi,
Tabse desh mein ek josh ki lahar he,

Har jubaan pe badlav ki baatein,
Har ankh mein badalte desh ki tasveer he,
Iss tasveer mein har koi apne multafik rang bharta he,
Koi aman ka rang toh koi unatii ka rang bharta he,

Par sambhalna hoga har tasveer banane wale ko,
Waqt ki kasauti par parakhna hoga naye rangrazon ko,
Dekhna hoga har ubharti tasveer ka pehlu,
Sath chalna hoga badlav ki rahon pe
Har haath ko naye Bharat ki neev bharni hogi,

Tabhi ek Naveen Bharat dhara pe ubhar payega…..

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें